Saturday 18 June 2011

A Plea To My Nation


Hear O my magnificent Lord
Arise!
Arise from thy slumber
Awake!
Awake O thunderous Epitome of Courage
Cut Asunder thy bonds
Break open the shackles of gloom
Rise!
Rise O my gracious Beloved
Let the servants of thee consecrate thy feet with their blood
And Usher thy blessings on their wretched hearts
So that they can stand and fight
Against all the odds, against all the satanic influences
Imbibe thy pious love, and unending perseverance of efforts
Upon us, on the existence of our minds and souls
Don't let the uniqueness of thy diversity get buried under the sepulchre of monotonic tyranny of hegemony
Do not succumb to the fallacy of false icons
Who are standing in the way of thy success
Emerge!
Emerge from the dark depths of trauma
Sparkle like the sunshine of summer morning
Shine to the extent that the world gets dumbstruck
Enamoured by thy scintillating Uprise
Let the darkness looming over us flee away by thy charming luminous presence
Just like the gloomy clouds hanging over the marvellous meadows get swept away by the arrival of west wind
Behold!
Behold my auspicious leader, the horizon is calling you
Pace up your accent...... To the eternal uprising
Thy shouldst not stoppeth, as thou art the messenger of peace
Who hadst striveth to rescue the ailing planet
Recognize!
Recognize thy inner spirit
Let the flame of hell incinerate thy foes
And the sweet showers of Heavens soothe all thy woes
Let the mighty sword of thy bravest sons protect thy honour
Bless them with thy heartiest blessings oh my earthly Lord Almighty
So that they can display their gallant efforts in preservance of thy grandeur
Let the brimming love of thy sons and daughters endear thy enchanting aroma
Oh My Saviour, disrupt the coil of the sombreness around you
And thrive to new heights with your rejuvinated grandeur
Let us be the Foundation Stone of thy success
A part of thy golden history
I plead you my Nation, awake and arise
Thou art the racer racing against time
Speed up, Reach ahead........... And for thee
The Sky is not the limit, it's the BEGINNING....................................

Faasle



Kisi se itna dur bhi na jao
Ki uske pukarne par sun na sako
Kisi ke itne paas bhi na aao
Ki khud ki hasti hi kho do
Kisi se itna dur na jao
Ki uski nigaho se hi nahi dil se bhi ojhal ho jao
Kisi ke itne paas bhi na aao
Ki uski aankhon me panpi duri na padh pao
kisi se itna dur bhi na jao
Ki uski yaadein tak dhundhli ho jayein
Kisi ke itne paas bhi na aao
Ki uski judai ka dard bhi na seh sako
Kisi se itna dur bhi na jao
Ki uske aur tumhare raaste alag ho jayein
Kisi ke itne paas bhi na aao ki tum apni raahein bhul jao
Kisi se itna dur bhi na jao ki kadam ginte ginte dum nikal jaye
Kisi ke itne paas bhi na aao
Ki tumhari saansein bhi uski gulam ho jayein.........
Kisi se itna dur bhi na jao
Ki dil se dil ki dor tut jaye
Kisi ke itna paas bhi na aao
Ki apne hi dil ki dhadkane na sun pao
Hamesha yaad rakhna,ye duniya faaslon ka khel hai
Paas rehna ya dur jaana,tumhara apna faisla hai
Zamaane ki reet se itna dur bhi na jao
Ki zamaana tumhe apnane se inkaar kar de
Aur zamaane ki dor me itne na jakad jao
Ki tumhara astitva tumhara saath nibhaane se inkaar kar de...........
In faaslo ko samajhna hi zindagi hai,
samajh lo to kohinoor,
warna dhool hai zindagi....

Maa Apne Shishu Ke Prati


Jab se aaye tum jeevan me kuch naya naya sa lagta hai
Mere jeevan ke upvan me tumhara mukhda hi sajta hai
Ye komal se do kamal nayan ye chchoti si muskaan
Ye jeeven sarita thi tapt meri, tumne diya ise jeevan daan
Ye mukhchandra pe khilkhilati hansi tumhari
Athkheliyaan mere ank me jo lagti badi pyaari
Chamchamati tumhari aankhon me jab mujhe chchaya apni dikhti hai
He mere jeevenadhaar mujhe ye duniya sajeeli lagti hai
Kabhi na dekha aise khud ko, Kabhi na aise jaana tha
Hota hai maatritva ka aanand kya ye maine bhala kab jaana tha
Ab dekhu jahan bhi duniya me sab bhala bhala sa lagta hai
Jab se aaye tum jeevan me kuch naya naya sa lagta hai
Ye narm tumhare haath jab mere mukh ko sehlaate hain
Sach kehti hu mere prempushp mujhe ye ankaha sa sukh de jaate hain
Apnatva aur mamta ki garima ka tumne matlab samjhaya hai
Tumhe paakar mere kalpavriksha maine pure sansaar ko paaya hai
Ansamjhi anjaani tumhari bhaasha, mujhe jaane kya kya keh jaati hai
Meri saari shabdon ki duniya bas ik tumpe simat jati hai
Bholi bhaali kaaya tumhaari kanchan sam manbhbaavan lagti hai
Us par ye kaajal ki bindiya manmohak badi hi fabti hai
Purnachandra sa shobhit ye mukh bada suhana lagta hai
Jab se aaye tum jeevan me kuch naya naya sa lagta hai
Usha ki nam kiranein jab haule se tumhe jagati hain
Tumhe nahi maalum ye dekh meri aankhein kitna sukh paati hain
Varshajal sa nirmal tumhara tan Gangajal se paavan hai
Tum ho puraskaar mere punyo ka kehta mujhse mera ye man hai
Mere adhure jeevan ko tumne hi to aakar purna kiya
Adhbana tha chitra mere sukh ka tumne hi to use sampoorna kiya
Mil gayi khushi saare jag ki, ab nahi bachi koi ichcha hai
Jab se aaye tum jeevan me kuch naya naya sa lagta hai
Ho kendra bindu tum mere jag ka tum hi to mere praan ho
Srijit kiya tumhe maine, tumhi mere dukho ka traan ho
Ye manohaari chchavi jo mere dil me bas gayi lagti hai
Wah hai tumhare Pita ki pratichchaya jo har pal mujhme basti hai
Ho tum prateek mere prem ka jise dil se maine sinchit kiya
Di maanyata mere prem ko tumne, mahima se use abhimandit kiya
Kiya tumne mujhko pura, Maata banne ka mujhe sukh diya
Aur kahu kya tumse he Paavan, tumne jeevan ko naya roop diya
Kaise baandhun bhaavo ko shabdo me, ye mujhe to asambhav lagta hai
Jab se aaye tum jaaven me sab naya naya sa lagta hai........
Sab naya naya  sa lagta hai.........
Sab naya naya sa lagta hai............ 

A Message For The Beloved


I feel you in the breath of fresh air
In every drop of rain
Which drenches me to my heart
I feel your embrace when I see myself in the shiny mirror
Reflecting the glow of your eyes
I see you everytime when I drop the curtains of my eyes
I sense you in my own touch
Coz what I have is yours
I reach to you through the bridge of my love
Which takes me along, safe from this world
My every dream is a gift of thine
Which slowly enters into my mind
And leaves indelible imprints of your selfless endless love
Continuously I have been wreathing
The pearls of ur unspoken words
The charisma of ur presence
I have been collecting memories of ur company
And have treasured them in the core of my heart
I have become so valuableDue to ur presence..........
My heart has transformed
Into an everflowing river
Of emotions, Love and Bliss
Be with me, Beside me
Your words enrich my soul's sanctity
Let your soul combine with mine
And become my eternal destination
Let me feel you more
Let me see you more
Let me touch you more
With the ever increasing love
Bound by our souls.................................................................

Geet Preet Ke Kaise Gaaun?


Soone is Man ki Bagiya me
Andhiyaari is gum ki Duniya me
Deep prem ke kaise jalaun
Geet preet ke kaise gaaun?
Door lage ab mujhe kinara
Beech dhaar me kahan sahara
Dolti jeevan ki is naiyya ko
Kaise ab main paar lagaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Khaali lage saavan ke jhoole
Yaadon ko koi kaise bhoole?
Unhi yaadon ke dansh sahu main
Kaise tujhe is dil se bhulaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Pal pal mujhe ek hook sataye
Dil paagal mera mujhe jalaye
Van upvan me dolun jogan si
Kaise phir wo aas jagaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Jo tha mera wo kal wo tum the
Jo hota wo kal bhi tum the
Par aaj chchod gaye tum mujhko
Kaise is man ko samjhaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Lambi hai raah jeevan ki
Bujhi nahi trisha tan man ki
Mera to sarvasva tumhi the
Mere praan tyaagkar kahan main jaaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Chaandani ab nahi suhati hai
Koyal ki kuk kahan lubhaati hai?
Kadwe lagte hain saare geet
Unhe adharon par kaise sajaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Vishbujhi lagein logon ki nazarein
Phande se lagein phoolon ke gajare
Gehane bediyon se ab lagte hain
Kaise khud ko kaidi main banaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Aankhon ke sapne chchoot gaye
Dil ke darpan bhi toot gaye
Un bikhari kaanch ki kirachon ko
Kaise apne haathon se uthaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Prem ke rang ho gaye ab ojhal
Marta hai mera man ye pal pal
Tirti jaati hu gum ki leharon par
Kaise khud ko is se bachaun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Jaanti hu tum nahi lautoge
Mere beete pal waapis na doge
Par chalte jaana hi jeevan hai
Yahi sochlar chalti jaaun
Par geet preet ke kaise gaaun?
Geet preet ke kaise geeun?
Geet preet ke kaise gaaun?
Geet preet ke kaise gaaun?

Friday 17 June 2011

Don't Call it Love


With all those tears I beheld in the shiny mirror of my eyes.....
For all those intimate dreams I cherished to dream....
In all those breathless ventures I planned with zeal and affection....
Its unexplainable, Its not love, Its something else.....
I swear my words fail to delineate the image of what I feel....
Love is a small word, which I feel devoid of the passion I am experiencing.....
And I don't want to put down the sanctity of my emotions....
For you, just for you,its you and only you....
I have immersed myself in thee, and I don't want to get rescued....
My soul cries out calling and I know that thine is listening....
So don't let the emotions get deterred by any unconscious effort....
Let it be Crude, Natural, Serene, Unexplainable....
Do not bind it in the shackles of words.....
For the Sweetness of affection, the Sacrosanctness of Devotion, The Humbleness of Loyalty know no bounds.....
Let it be like that, don't call it love....Don't Call It Love.....
Don't Call it Love........