Kisi se itna dur bhi na jao
Ki uske pukarne par sun na sako
Kisi ke itne paas bhi na aao
Ki khud ki hasti hi kho do
Kisi se itna dur na jao
Ki uski nigaho se hi nahi dil se bhi ojhal ho jao
Kisi ke itne paas bhi na aao
Ki uski aankhon me panpi duri na padh pao
kisi se itna dur bhi na jao
Ki uski yaadein tak dhundhli ho jayein
Kisi ke itne paas bhi na aao
Ki uski judai ka dard bhi na seh sako
Kisi se itna dur bhi na jao
Ki uske aur tumhare raaste alag ho jayein
Kisi ke itne paas bhi na aao ki tum apni raahein bhul jao
Kisi se itna dur bhi na jao ki kadam ginte ginte dum nikal jaye
Kisi ke itne paas bhi na aao
Ki tumhari saansein bhi uski gulam ho jayein.........
Kisi se itna dur bhi na jao
Ki dil se dil ki dor tut jaye
Kisi ke itna paas bhi na aao
Ki apne hi dil ki dhadkane na sun pao
Hamesha yaad rakhna,ye duniya faaslon ka khel hai
Paas rehna ya dur jaana,tumhara apna faisla hai
Zamaane ki reet se itna dur bhi na jao
Ki zamaana tumhe apnane se inkaar kar de
Aur zamaane ki dor me itne na jakad jao
Ki tumhara astitva tumhara saath nibhaane se inkaar kar de...........
In faaslo ko samajhna hi zindagi hai,
samajh lo to kohinoor,
warna dhool hai zindagi....
No comments:
Post a Comment